Har shama jalte jismoo ka garha dhoan hai shahar
marghat kaha hai koi batao kaha hai shahar
photpath par jo lash pari hai usi ki hai
jis ganw ko yaqeen tha ki rozi-rasan hai shahar
mar jaiye to nam-o-nasab pochta nahi
murdoo ke silsile main bahut mehraban hai shahar
rah rah ke chikh uthte hain sanate rat ko
jungal chupe hue hain wahi par jaha hai shahar
bhochal ate rahte hain aur totta nahi
hum jaise muflisoo ki tarah saKht-jaaN hai shahar
latka huwa train ke Diboo main subah-o-sham
lagta hai apni maut ke munh main rawa hai shahar
|